**woh aksar poocha karta hai
tum mujh say kiyooN sharmaati ho
resham see palkoN kay sa'ay kiyooN gehray honay lagtay haiN
jab mujh say nain milaati ho
haaN bolo kiyooN sharmaati ho
aanchal ko daabay daaNtoN meN
kaajal ko saja'ay aankhoN meN
mayri raahoN ko takti ho
gar aysa hai
to kiyooN jaana
banta hai itna anjana
mun meN to tu nay bhi maana
kay maiN nay apna dil kab ka
tayray qadmoN may rakh choRa
phir apni cheez uthaanay meN
kiyooN itni dair lagati ho
kiyooN apnoN ko tarpaati ho
mun ki baateN batlaanay meN
aakhir kis say ghabraati ho
resham see palkoN kay sa'ay kiyooN gehray honay lagtay haiN
jab mujh say nain milaati ho
haaN bolo kiyooN sharmaati ho
**
nice...
hehe hamain kia maloom kyu sharmati hai. :p
zabardust hai je
niceeeeeeeeeeeeeee :k:
:)
nice1:k:
:k:
humm