Najaane kyon jab bhi udaas hota hai woh
Mera naam likh deta hai
Woh aksar mujhe zindagi ka khayal likh deta hai
Kehta hai hans kar kya naam doon tumhein
Phir hamesha ki tarah sawaal likh deta hai
Jaanta hai khud ko phir bhi sharaarat mein aksar woh
Apni nazroon ko anjaan likh deta hai
Jab doon misaal kisi cheez se muhabbat ko
Woh hamesha chup ho kar bemisaal likh deta hai
Woh bahut khush hai zindagi se lekin aksar ukta kar
Zindagi ko wabbaal likh deta hai
Jab hoon mein us ke paas tu aksar woh
Mere wajood ko khayal likh deta hai
Mein us ki is deewaangi ko hans kar taal deti hoon
Aur woh meri is ada ko kamaal likh deta hai
Jab kabhi mein chup hojaoon woh andeshoon mein ghir jata hai
Aur meri chup ko muhabbat ka zawaal likh deta hai
Mein bahut khush hoon lekin phir bhi aksar najaane kyon
Woh aksar meri aankhoon ko dekh kar weeraan likh deta hai...
Very nice...
wah bahut khoob!