Woh aks ban ke meri chashm-e-tar mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai…
Woh to meri shab-e-gham ka aik piyambar hai
Woh ik sitara jo chashm-e-sehar mein rehta hai…
Jo mere honton pe aaye to gungunaoon usey
Woh shair ban ker bayaz-e-nazar mein rehta hai…
Guzarta waqt mera gamgisar kiya hoga
Woh khud taaqub shaam-o-sehar mein rehta hai..
Mera hi roop hai tu gour se agar dekhiye
Bagola sa jo teri rah guzar mein rehta hai…
Na jaane kaun hai jis ki talash mein ‘bismil’
Har ik saans mera ab safar mein rehta hai
Re: Woh aks ban ke meri chashm-e-tar mein rehta hai
Woh aks ban ke meri chashm-e-tar mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai...
Woh to meri shab-e-gham ka aik piyambar hai
Woh ik sitara jo chashm-e-sehar mein rehta hai...
Jo mere honton pe aaye to gungunaoon usey
Woh shair ban ker bayaz-e-nazar mein rehta hai...
Guzarta waqt mera gamgisar kiya hoga
Woh khud taaqub shaam-o-sehar mein rehta hai..
Mera hi roop hai tu gour se agar dekhiye
Bagola sa jo teri rah guzar mein rehta hai...
Na jaane kaun hai jis ki talash mein 'bismil'
Har ik saans mera ab safar mein rehta hai
Ek sis k naam.
Hmmm Bhaut khoob.
Bhat ach Choice, I am sure Ek Sis tumhaiN miss karegi
Re: Woh aks ban ke meri chashm-e-tar mein rehta hai
savenstar pai jaan
aap ko gujar nai psand kya
sab ka thnx u kia mera nai
i am sorry Gujjar bai i am sure mujh s miss ho gaya app ko thanks kehna warna aise kabi hua nahi.
PK main mere city k naam main b Gujar ata hai is liye na-pasand hone ka sawal hi pehda nahi hota.
Raaz ki ek aur baat bhee hai jo phir kabi batahon ga.
anyways i am sorry.
thanks alot.