Lamhay
January 31, 2002, 6:23pm
1
Woh ajanbi tha jo meray lahoo main shamil tha
meri wafa ka meri chaahatoon ka hasil tha
ye aur baat kay majbooriyaan rahi iski
kabhi kabhi tu meri khwahishoon ka katil tha
main apna zakhum dikhanay bhala kahan jati
yahan tu haar koi apnoo kay ghum say ghayal tha
woh wardaat bhi karta raha kareenay say
sutoon e daar hi uskay kiye ka hasil tha
main iski zaat per ab aitbaar kiya karti
najanay kitno kay armaan o dil ka qatil tha
suna hai deer talak usko gungunata raha
woh aik sher hi meri ghazal ka hasil tha!
Dekh Ruswaee ka sauda hai ab na kabhi
Itnni shiddat say kisi shaks ki chaahat karna,
raahaygi shama-e-wafa yunhi ta abaad roshan
ghazal kay roop main jeenay ka hosaala rakhna!
Lamhay
January 31, 2002, 7:05pm
3
Chand ji kia kehna tha ?????
very nice lamhay jee…
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
mairay dill mairay mussafir
mai iski izzat pe ab aitbaar kya karti
najane kitno ke arman o dil ka kaatil tha
Coooooolll
mini
January 31, 2002, 11:18pm
6
very nice indeed.... like the last misra the best.
khudi ko kar buland itna..ke har takdeer se phele
khuda bande se khud pooche..bata teri raza kia hai!!!
Pramod
February 1, 2002, 5:31am
7
Very Good.......Lamhe
Baza ye zabt-e-gham phir bhi,mohabbat meiN kabhi ro ley
Dabaane ke liye har dard, ye naadaN nahiN hota.
Originally posted by Lamhay:
**
main apna zakhum dikhanay bhala kahan jati
yahan tu haar koi apnoo kay ghum say ghayal tha
main iski zaat per ab aitbaar kiya karti
najanay kitno kay armaan o dil ka qatil tha
**
**
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
bery hi Beautiful Lamhay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif
**
~ ~~ ~*
“If you belong to Allah, rest assured that Allah will indeed belong to you”
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
~ ~~ ~*
[quote]
Originally posted by Lamhay:
**woh wardaat bhi karta raha kareenay say
sutoon e daar hi uskay kiye ka hasil tha
main iski zaat per ab aitbaar kiya karti
najanay kitno kay armaan o dil ka qatil tha
**
[/quote]
Badnaam mere pyar ka afsaana huwa hai...
Deewanay bhi kehtay hain ke deewana huwa hai...!
Lamhay, bahut khoob !
Kya khoob andaaz hai tumhara ay dostoo...
Hamdard ban ke aaye thay kantay chubhoo chalay...!
Qismat ki lakeeroon se tujhe shayad na paa sakein hum...
Isliye hathoon pe likh likh ke tera naam mita detay hain... !
jasmeen
February 1, 2002, 8:29pm
10
VERYYY NICE LAMHY.
BOHT KHOOB GAZAL HAY…
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
lafzoon ko itamad ka lahja bhi chahey
zikrey saher baja hay yaqeeney saher bhi chahaey
Lamhay
February 3, 2002, 5:44pm
11
thanks akifji, masoom si,mini, pramod, shaam-e-firaq and jasmine!
arifji kia baat hai ap kay shairoon ki
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
Samad
February 10, 2002, 2:22pm
13
very nice
Why drink and drive when you can smoke and fly high?