Woh aik lamha yaad hai mujhay sada ki tarhan
Meray kareeb sey guzara tha woh hawa ki tarhan
shuru-e-ishq main hi hogaye theey hum ruswa
ye ibtedaa bhi hui hum sey inteha ki tarhan
duaien mangtay phirtay hain logh jis kay liye
woh zindagi hi hamay kha gayee hamay bala ki tarhan
Main Rang rang hoon urhna mera muqaddar hai
woh apnay baas main na rakhay mujhay khuda ki tarhan
woh aik shaks bahut hi azeez hai ayee qais
jo chup kay betha hai mujh main meri ana ki tarhan!
Yeh mohabbatain bhi ajeeb hain
ke milan ki koi bhi aas hai
na he reet qol o qarar ki
na he koi rasm judai ki
ke Milan na ho to judai kiyon?
Na he khuab o khiyal ki barishain
Jo baras ke rooh ko tar karain
Naee roz sham o sahar karain
Haan ye zindagi bhi ajeeb hai
Shab o roz nit naye khuab hain
Ke ye khuab kia hain azab hain
Is azab main katay zindagi
to gila koi na malal hai
yahan sab ka bas ye he haal hai
na mohabbaton ki talash hai
na he zindagi se shikayatein
ke guzar he jaye gi ek din
to shikayatein bhala kiyon karain???
jo mohabbattein he ajeeb hain
to mohabbatein bhala kiyon karain???
Ke ye zindagi bhi ajeeb hai
To phir khuahishain bhala kiyon karain???