**Mere liye theen kabhi ashk-baar woh aankhein
Nasha tha jin mein ek aisa khumaar woh aankhein
Uthain tau karti theen apna shikaar woh aankhein
Jhukain tau ho jaayein mohlik hathyaar woh aankhein
Jafaa karein tau lagein ek kamaan woh aankhein
Wafaa pe aayein tau meri amaan woh aankhein
Main unhi aakhon ki be-gaangi ka maara hoon
Main taiz behtey huwe aansuon ka dhaara hoon**