woh aankhein kese aankhein hayn
jinhein ab tum chaha kartay ho!
tum kehtay thay
mere aankhein, itne aachi, itne suchi hayn
is husn aur suchaye kay siwa, dunia may koi cheez nahi
kia un aankho ko dekh kay bhi
tum Faiz ka misra pahrtay ho?
tum kehtay thay
mere aankho ke neelahat itne gehre hay
“mere roh agar ek baar utar jayay to uske poor poor nelam ho jayay”
mujhe itna baatao
aaj tumhare roh ka rung-e-paihrann kia hay
kia woh aankhein bhi samandar hayn?
yeh kaali bohri aankhein
jin ko dekh kay tum kehtay thay
“youn lagta hay shaam nay raat kay hont pay apnay hont rakhay hayn”
kia un aankho kay rung may bhi, youn dono waqat mila kartay hayn?
kia suraj doobnay ka lamha, un aankho may bhi tehr gaya
yah wahan faqt mehtaab tarashtay rehtay hayn?
*mere palkein *
jink ko dekh kay tum kehtay thay
in ke chahaao’n tumharay jism pay apni shabnam pehla day
to guzartay khwab kay mossam loat ayein
kia woh palkein bhi aise hayn
jinhein dekh kay neend aa jate ho?
tum kehtay thay
mere aankhein youheen achi hayn
“haan kajal ke dohndlaye hoye tehreer bhi ho - to
baat bohut dilkash ho gee!”
woh aankhein bhi singaar to karte hoon gee
kia unka kajal khud he mit jaata hay?
khabhi yeh bhi hoaa
kese lamhay tum say rooth kay woh aankhein roo dee’n
aur tum nay apnay hath say un kay aanso khushk kiayy
phir johk kar un ko choom liya
(kia un ko bhi!!) ![]()
*Parveen Shakir … From her book “Khusbooo” *