Aik Ghazal,
Hama’waqt Ranj-o-Malaal Kia, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Usay Yaad Kerkay Na Dil Dukha, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Na Gila Kia, Na Khafa Huay Yunhi Raastay Main Fida Huay
Na Tu Bewafa Na Main Bewafa, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Wo Ghzal Ki Aik Kitab Tha Wo Gulo’n Main Aik Gulab Tha
Zara Dair Ka Koi Khuab Tha, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Mujhe Pat’jharo’n Ki Kahaniaan Na Suna Suna Ke Udaas Ker
Tu Khiza’n Ka Phool Hai, Muskura, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Wo Udaas Dhoop Samait Ker Kaheen Wadi’on Main Utar Chuka
Usay Abb Na De Meray Dil Sadaa, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Ye Safar Bhi Kitna Taweel Hai Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai
Kahan Laut Ker Koi Aye Ga, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Wo Wafa’ain Theen Ke Jafa’ain Theen Na Ye Soch Kis Ki Khata’ain Theen
Wo Tera Hai Uss Ko Galay Laga, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Koi Farq-e-Shah-o-Gada Nahin Ke Yahan Kisi Ki Baqa Nahin
Ye Ujaar Mehlo’n Ki Sun Sada, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Tujhe Aitbar-o-Yaqeen Nahin, Nahin Dunya Itni Buri Nahin
Na Malaal Ker Meray Sath Aa, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
(Dr Bashir Badar)
Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..
Regards,