Wo tum na thay ik khayal tha
Meri soch ka hi kamal tha
Wo muhabatain Wo chahatain
Meri uljhanaoon ka hi jaal tha
Mere dil mai theen jo ronakain
Wo tera hi husn-o-jamal tha
Jawab jiss ka mila nahi
Wo aisa hi ik sawal tha
Usse yaad kaise na kare koi
Usse bhoolna tu mahal tha
Ab uss ki kia mai misal doon
Wo tu apni misal app tha