Wo tu khushboo hai, hawaaoa’n mei bikhar jaaye gaa
masla tu phool ka hai, phool kidher jaaye gaa
hum tu samjhe the keh ik zakham hai bhar jaaye gaa
kiya khabar thi keh rag_e jaa’n mei uter jaaye gaa
wo hawaaoa’n ki tarah khana bajaa’n phirta hai
aik jhonka hai jo aye gaa, guzar jaaye gaa
wo jab aye gaa tu phir uss ki rafaqat ke liye
mausam_e gul mere aangan mei thehr jaaye gaa
aakhrish wo bhi kaheen rait pe bethi ho gii
tera ye pyaar bhi daryaa hai, utar jaaye gaa
mujh ko tehzeeb ke barzah ka banaya waaris
jurm ye bhi mere ajdaad ke sarr jaaye gaa…
By:
Parveen Shakir 
Re: ~wo tu khushboo hai~
Maheen Ji,
Bhaut Khoob 

Ab zakham zakham pe bhee to depend karta hai kaisa zakham hai kis ne yeh zakham diya.
Kuch zakhmooN ka maza us waqt aata hai jab woh Rag-e JaaN main utratay haiN.
Zakham jo paye kaisay dikhayIn
pee letay haiN jee letay haiN
zaKhm jo aap kii inaayat hai
Sudarshan Faakir
zaKhm jo aap kii inaayat hai is nishaanii ko kyaa naam de ham
pyaar diivaar ban ke rah gayaa hai is kahaanii ko kyaa naam de ham
aap ilzaam dhar gaye ham par ek ehasaan kar gaye ham par
aap kii ye meharabaanii hai meharabaanii ko kyaa naam de ham
aap ko yuu.N hii zindagii samajhaa dhuup ko hamane chaa.Ndanii samajhaa
bhuul hii bhuul jis kii aadat hai ik javaanii ko naam kyaa de ham
raat sapanaa bahaar kaa dekhaa din huaa to Gubaar saa dekhaa
bevafaa vaqt bezubaa.N nikalaa bezubaanii ko naam kyaa de ham
Duaa’ooN ke sath ab ijazat chahta hoon
Saqi