MosumooN kay is milney aur juda honay sey
janey dil ka kiya rishta hai!
Jub ik masum doosrey mosum sey milta hai
janey kiyon is dil kay ander duur kahin per
aik chunnaka sa hota hai
jaisey kuch sheeshay kay burtun
ik wehshi awaaz ko sun ker
num haathooN sey choot gaye hoon
chootey sey do rait kay ghuroondey
buntey buntey toot gaye hoon
bujhti raat ka sunnata kiyon
khoof ragooN main bhurta hai
put-jhur ki dehleez pe tehra
lumha kis sey durta hai
wo tu poorey chaand ki shub thee jub taara toota tha
wo tu bhari bahaar kay din thay jub tu mujh sey bichra tha..
*Amjad Islaam Amjad