wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa'da

jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan ke sheesha-o-jaam bujh gaye hain
sajay gi kaisay shab-e-nigaraan ke dil sar-e-shaam bujh gaye hain

wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa’da
kiran koi arzoo ki lao ke sub dar-o-baam bujh gaye hain

buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab ke burkha
har aik iqraar mit gaya hai, tamam paigham bujh gayay hain

qareeb aa ae mah-e-shab-e-gham, nazar pe khulta nahin kuch is dum
ke dil pe kis kis ka naqsh baqi hai, kaun se naam bujh gaye hain

bahar ab aa ke kaya kare gi ke jin se tha jashn rang-o-naghma
wo gul sar-e-shakh jal gaye hain, wo dil tah-e-daam bujh gaye hain

(Faiz)

Re: wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa’da

awesome sharing ali :k:

Beautiful :k:

Re: wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa'da

[EMAIL="F@iz"]Faiz ji.... zabardast ALi _ ji

Re: wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa'da

Kya kehne bohat umda :~) thx !

Re: wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa'da

Bohat khoob...

Re: wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa'da

Bohat ahla

Re: wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa'da

Lajawab :)

Re: wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa'da

thanks all :-)

Re: wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa’da

great :biggthumb: