**
Wo teer chora hua tow, usi kamaan ka tha
Agerchee haath, kisi aur meherbaan ka tha
Guzer raha tha wo lamha jo dermiyaan ka tha
Mager ye waqt bare sakht imtihaan ka tha
Pata nahi,keh juda ho ke,kaise zinda rahein
Hamara us ka talluq,tow jism-o-jaan ka tha
Hawa tow chulti hee rehti hai is samander mey
Kasoor ager koi tha,tow baadbaan ka tha
Wohi kahani kabhi jhoot thi kabhi sach thi
Zara sa farq ager tha tow bus bayaan ka tha
Qadem qadem pe naye manzaroon ki herat thi
Teri gali ka safar tha ,keh ik jahan ka tha
Hum apnay naam ke hissay ko dhondtay bhi kahan
Zameen ke paas tow jo kuch tha,aasmaan ka tha
Kahin zameen per saani nahi mila us ka
Wo shaks jaisey kisi aur aasmaan ka tha…!!!
**