Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Hansta Hai Mujhe Dekh Ke, Nafrat Nahee Karta
Ghar Waalon Ko Ghaflat Pe Sabhi Kous Rahay Hain
Chooron Ko Magar Koi Malaamat Nahee Karta
Detay Hain Ujaalay Mere Sajdon Ki Gawaahi
Mein Chhup Ke Andheron Mein Ibaadat Nahee Karta
Bhoola Nahee Aaj Bhee Mein Aadaab-e-Jawaani
Mein Aaj Bhee Auron Ko Naseehat Nahee Karta
Duniya Mein Qateel Ossa Munaafiq Nahee Koi
Jo Zulm Tou Sehta Hai Baghaawat Nahee Karta
LP
2
Re: Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta

Re: Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Detay Hain Ujaalay Mere Sajdon Ki Gawaahi
Mein Chhup Ke Andheron Mein Ibaadat Nahee Karta
Per ibaadat wohi achi jo show-off karne ke liye na ki jae.. tabhi to sab se afzal aur qabooliyat ka waqt tahajjud hai.
LP
4
Re: Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
munafiq?
Re: Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Dikhawe ki ibadat karne wala munafiq hi hota hai.
Diva
6
Re: Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Hansta Hai Mujhe Dekh Ke, Nafrat Nahee Karta
^Wow.
Re: Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Magar hansta kiyun hai.. aap ne chappal ghalt paon mian pehni hui hai?
Re: Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
ap itnay serious sher ka mazak ura rahay han 
Re: Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Main to sirf waja talash kar raha tha, ke wo hans kiyun raha hai... koi pagal to nahin ho gaya?