*
ankhoon ka rung baat ka lehja badal gaya
wo shaks ik shaam mein kitna badal gaya
kuch din tu mera aks raha aaine mein
phir youn howa k khud mera chehra badal gaya
jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
tu kia howa jo hum se zamana badal gaya
Qadmoun talay jo rait bichee thee wo chal parii
us ne churaya haath tu sehra badal gaya
koi bhee cheez apni jaga per nahi rahi
jate hee ik shaks k kia kia badal gaya*
Daagh
2
Re: Wo shaks ik shaam mein kitna badal gaya…
bahot achchi hai HH 
thanks 

Re: Re: Wo shaks ik shaam mein kitna badal gaya…
thanku daagho uncle 4 liking it 
Amal
4
Re: Wo shaks ik shaam mein kitna badal gaya…
Lovely ghazal:k:…thanx for sharing:)
system
5
koi bhee cheez apni jaga per nahi rahi
jate hee ik shaks k kia kia badal gaya
Beautiful :)
Koyal
6
nice one HH thanks for sharing...
MANAN
11
HH suraj theeek kah raha hai tusi great ho jii;)
thanks for liking Amal bhai, viv, koyal, cc, capri, suraj and sweetpie
manan ap ko kaise pata laga k mae gr8 hon? :p