Wo shaks aj tak mujhay yunhi bar bar azmata raha***
bewafa mujhay ab keh diya tu kion mujhay chahta raha
mainay ro ro ker safaii di usnay jhooti smjhi meri siskian
main murjha kar zameen per gir gai wo phr b mjhay tukhrata raha
mera kasoor kia hai wo batata b nahi,nazr mjhsay milata nahi
phr kion mjhay her bar wo her muqam pay rulata raha
mainay chahatoun ki inteha thi ki mgr phr b najany kion
wo rastay mai her mor per mjhay anjan samjh ker girata raha
mera dil bhi kitna masoom hai zara daikho na tum dostoun
aj b ye duaen sham-o-sehr,uski salamti k liye mangta raha
wo aj be-khabr hai meray hal say,najanay kion aye Khuda..!
mera wajood khud main phir b usko talash kerta raha
uska kehna hai k main nay sataya hai usay had se barh ker..!
wo nadaan hai samjha nahi,mera dil kitnay sapnay sajata raha…!!