wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na meiN

c***hiragh-e-shab tha ya aaftaab na dil samajh saka na meiN wo taabeer thi ya mehz khuwaab na dil samajh saka na meiN

wo nazar jo tamaam umar jhuki jhuki hi rahi
merey liye thi betaab na dil samajh saka na meiN

sab se anjaan apni hi dhun mein khoya khoya sa magar
wo tha khuli kitaab na dil samajh saka na meiN

wo jaan-e-mehfil jo mujh se ghaafil par meri hi amad ka
rakhta tha barha hisaab na dil samajh saka na meiN

meri talkhiyun ko sehna merey tanz pe muskuraana
wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na meiN

***

aaaaaaawwwww ajee wo shakhs abh bhee hai lajawab buss dill ko oor appnay app ku samjhanay key baat hai;) P.S Nice Choice:)

Re: wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na meiN

wonderful :)

Re: wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na meiN

aapsay kisnay kaha keh tha, woh abhi bhi hai lajawaab. :)

wah bohat khoob :k:

Re: wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na meiN

na dil Samajh saka na mein… Sad :k: nice sharing :k: !

Re: wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na meiN

wow koyal very nice........

Excellent Koyal..:k: