wo shakhs baat baat pe bigadta hua dikha
khwabo me bhi naraaj ho chidta hua dikha
mai dil ki baat maankar, pareshan hi raha
neendo me bhi khud se hi ladta hua dikha
jab rishte bojh ban gaye, to waqt ne kaha
pal pal hi bhaar saanso be badta hua dikha
samjhaya lakh dil ko, magar maanta nahi
har chhoti chhoti baat par adta hua dikha
unse mili nazar to, hum bayaan kya karen
kuchh dhaardaar seene me, utar-ta hua dikha …