pktun
1
**
Wo qisa e gham sunata raha
mera zabt aazmaata raha
aaj ser e bazam wo apne
dil ke daagh dikhata raha
Noha e dil e barbaad koi
akheer e shab ko gata raha
Kisi ke haath meiN teer they
koi zakhm sehlaata raha
wo sakoon ka matlashi tha
aur mujhe dard bhata raha
us ki tanhaai ka khayaal
mujhe her pal satata raha
kya hai hijr o wasal aakhir
waqt mujhe samjhata raha
bhulaney se wo nahi bhoola
reh reh ker yaad aata raha
raqabat ki inteha dekho
sooraj diya bujhata raha
khak hoa maiN jal jal ker
zamana raakh urata raha
us ki aankh ka pani
mujhe shab bher rulata raha
**
ehsan
2
Re: Wo Qisa e gham Sunata Raha
Nice.
Re: Wo Qisa e gham Sunata Raha
Very Nice PK :k:
Re: Wo Qisa e gham Sunata Raha
boht aala…:k:
Amal
5
Re: Wo Qisa e gham Sunata Raha
Bohat khoob pktun sahab
k:
jiia
6
Re: Wo Qisa e gham Sunata Raha
zabardast slection ,thanks 4 sharing us :k:
Aryaan
7
Re: Wo Qisa e gham Sunata Raha
Khaak huwa main jal jal kar
zamaana raakh uraata raha
us ki aankh ka pani
mujhe shab bhar rulaata raha
Bohat Khoob Pktun..:k:
Koyal
8
Re: Wo Qisa e gham Sunata Raha
aur phiR hum suntey suntey so gaye :) nice sharing ;)
pktun
9
Re: Wo Qisa e gham Sunata Raha
^
Chalo acha hua 
Thnx all 