wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya

kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hai
kahan ho tum ke yeh dil beqarar aaj bhi hai

wo waadiyaan wo fazaayen, ke ham milay thay jahan
meri wafa ka waheen par mazaar aaj bhi hai

kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hai

na jaanay dekh ke kyun unko yeh hua ahsaas
ke mere dil pe unhe iqtiyaar aaj bhi hai

kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hai

wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya
wafaa ki raah mei ghayal wo pyar aaj bhi hai

wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya

yakeen naheen hai magar aaj bhi yeh lagta hai
meri talash mei shayad bahaar aaj bhi hai

kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hai

na pooch kitnay mohabbat ke zakhm khaey hen
ke jin ko sooch ke dil soogawar aaj bhi hai

wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya
wafaa ki raah mei ghayal wo pyar aaj bhi hai

Re: wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya

A timeless beauty :k: Thanx for sharing Dania_2000 :slight_smile:

Re: wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya

zeberdestttttttttt:)..1 of my fav
thx 4 sharing

Re: wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya

Amazing stuff, i heard this one few days back, thanks for sharing Dania:-)

Re: wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya

Beautiful sharing...one of my fav
thnx 4 sharing

Re: wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya

beautifulll dania

Re: wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya

ur welcome :)