wo na aaye.nge yeh ilm hai mujhko

**wo na aaye.nge yeh ilm hai mujhko
phir bhi mai.n intizaar karta hoo.n
khoob waaqif hoo.n mai.n haqiqat se
par tassavvur se pyaar karta hoo.n

be-rukhi ban gayi hai khoo jiski
wo jisko zauq-e-bewafaayi hai
usi zaalim se dil lagaane ki
mai.n khataa baar baar karta hoo.n

apni nadaani pe naazaa.n hoo.n
apni saadgi pe pashemaan nahi.n
mujhko duniya ke dhab nahi.n aate
is ka mai.n iftikhaar karta hoo.n

mujhko koyi bura nahi.n dikhta
sab hi maasoom jaan padate hai.n
laakh dhoke phareb kha kar bhi
mai.n sab pe aitbaar karta hoo.n**

Re: wo na aaye.nge yeh ilm hai mujhko

Lage raho Munna Bhai :barbie:

waise lakh dhoke phareb kha kar, aitbaar karne ki khas waja?