wo mujh ko yaad karta hai main us ko yaad kartee hoon
by misbah CHAUDRY
muhabbat kay haseen khabon say ghar abaad kartee hoon
wo mujh ko yaad karta hai main us ko yaad kartee hoon
kabhi honton say wo apnay meri palkon ko choomay ga
kabhi hathon main hathon ko mere lay kay wo ghoomay ga
kabhi dill us ki baton say kahin masti main jhoomay ga
yay sapna sach bhi ho jaye main yay fariyaad kartee hoon
wo mujh ko yaad karta hai main us ko yaad kartee hoon
kahin wo door hai basta magar hai mere khabon main
jawab us ka nahi milta kahin itnay jawabon main
nasha jo us main hai wo na milay ga in sharabon main
khiyalon say usi kay main tamanna shaad kartee hoon
wo mujh ko yaad karta hai main us ko yaad kartee hoon
hai sakhiyo door wo mujh say magar mera hi sochay hai
wo toofan apni chahat ka najanay kaisay rokay hai
sunay na kuch zamanay ki zamana us ko tokay hai
mere wajood ki us ko lo main buniyaad kartee hoon
wo mujh ko yaad karta hai main us ko yaad kartee hoon