Wo hum nahin jinhe sehna ye jabr aa jata
Teri judai main kis tarah sabr aa jata
Faseelen tod na dete jo ab ke ahl e qafas
To aur tarah ka ailaan e jabr aa jata
Wo fasla tha dua aur mustajaabi main
Ke dhoop mangne jate to abr aa jata
Wo mujh ko chhor ke jis aadmi ke paas gaya
Barabari ka bhi hota to sabr aa jata
Wazeer o Shah bhi khas khanon se nikal aate
Agar gumaaN main angar e Qabr aa jata