Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha

**Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha
Sajda Us Ko Bhi Rawa Hai Mujhay Maloom Na Tha

Wo Bicharne Laga Mujh Sey To Anaa Toot Gayi
Rooth Jana Hi Aada Hai Mujhy Maloom Na Tha

Subha Hone Pay Bhi Aankhon Sey Andhera Na Gaya
Raat Suraj Sey Khafa Hai Mujhay Maloom Na Tha

Rooth Janay Pay Manana Usey Aata Hi Nahi
Yeh Bhi Meri Hi Khata Hai Mujhay Maloom Na Tha

Zindagi Jurm-e-Anasar Hai Zamane Mein
Sans Lena Bhi Saza Hai Mujhay Maloom Na Tha !!**

Re: Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha

Umda ghazal hey :)

Re: Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha

bohat khoob :k:

Re: Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha

Nice.

Re: Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha

achi ghazal hai.. :-)

Re: Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha

Bhut ke Khoob Babri Bhai :slight_smile: :k: