Usay apne farda ki fikr thi
Wo jo mera waqefa haal thaa
Wohi us ki subh-e-aroj thi
Woh jo mera waqt-e-zawal thaa
Meri baat kaise wo manta
Mujhay apna wo kaise jaanta
Wo to khud fanaa ke safar mai thaa
Usay rokna bhi muhaal thaa
Dam-e-wapsi pe kya huwa?
Na wo roshni, na wo tazgi
ye sitara kaise bujh gaya
Wo jo aap apni misaal thaa
““Wo mila to sadiyo’n baad bhi
Mere lab pe koi gila na thaa
Usay meri chup ne rula diya
Jise guftagu mai kamaal thaa””
Gale lag ke wo mere ro diya
Bus mujh se wo itna hi keh saka
Mai jise samajhta thaa zindagi
Wo to sirf vehm-o-khayaal thaa