mudi
January 21, 2002, 6:52pm
1
jab sooraj doobay saanjh bhaye
aur phail raha andhyara ho
kisi saaz ki lay per jhanan jhanan
kisi geet ka mukhra jaaga ho
is taal pe nachtay payrdon (trees) mein
ik chup chup behti nadya ho
ho charon koot sugandh bassi
jyon jangle pehna gujra ho
ye ambar kay mukh ka anchal
is aanchal ka rang ouda ho
ik got ropehlay taaron ki
or beech sunehra chanda ho
is sundar sheetal shaant samay
haan bolo bolo phir kia ho
wo jis ka milna na-mumkin
wo mil jaye to kaisa ho ?
Originally posted by mudi:
**jab sooraj doobay saanjh bhaye
aur phail raha andhyara ho
kisi saaz ki lay per jhanan jhanan
kisi geet ka mukhra jaaga ho
is taal pe nachtay payrdon (trees) mein
ik chup chup behti nadya ho
ho charon koot sugandh bassi
jyon jangle pehna gujra ho
ye ambar kay mukh ka anchal
is aanchal ka rang ouda ho
ik got ropehlay taaron ki
or beech sunehra chanda ho
is sundar sheetal shaant samay
haan bolo bolo phir kia ho
wo jis ka milna na-mumkin
wo mil jaye to kaisa ho ?**
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
bery gudddd
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
keep it up
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
system
January 24, 2002, 1:34pm
3
Its zuberdast yaar. Did you say it
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggthumb.gif
Allah Nighaban.
mudi
January 25, 2002, 3:59pm
4
thank u very much. its not mine, its by Ibn-e-Insha. i have selected a part of the whole poem, whole poem is long enough to post here. thanx for liking once again.
dil darya samandaron doongay
kon dilaan diyan janay..hu
very nice mudi jee…
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
mairay dill mairay mussafir