wo ana parast sahi uski baaton mei iqraar bhi tha
uske chubhte huwe lehje mei chhupa pyaar bhi tha
wo mujhe likhta hae ke muntazir na raho lekin
uski tahreer mei sadiyon ka intezaar bhi tha
wo kehta hae matt rootho ke manana nahi aata
meri narazgi pe lekin, wo bekaraar bhi tha
mae shayad phir na likhta usse apni khabar
dosti ka bharam rakhna tha, kuch dil be_ikhtiyaar bhi tha
shayad yahi uska andaz-e-muhabbat ho
wo mera humdum bhi tha sitam shuaar bhi tha
Amal
2
Re: wo mera humdum bhi tha sitam shuaar bhi tha
Bohat khoob Jhanjharewali
k:
Re: wo mera humdum bhi tha sitam shuaar bhi tha
**thank u Amal. aap ne shayd isse pehle bhi parha hoga kayee baar magar phir bhi hamari hausla afzai ki…many thanks again
**
Re: wo mera humdum bhi tha sitam shuaar bhi tha
shayad yahi uska andaz-e-muhabbat ho
wo mera humdum bhi tha sitam shuaar bhi tha
buhat khob
<!-- / message -->
SJ
5
Re: wo mera humdum bhi tha sitam shuaar bhi tha
wo mujhe likhta hae ke muntazir na raho lekin
uski tahreer mei sadiyon ka intezaar bhi tha
bohat khoob :k: