Dekho gurdish-e Zamana mein
Koi furq nahi aaya
Suraj ki kirnain
Aaj bhee
Deewaar say utar kur meri khirki tuk aate hain
Chaand bhee
Sari raat mere sehen mein chumka hai
Murjhaay hoay pholoon ki jaga
Taza gulaab khilay hain
Furq sirf itna howa hai
Wo larki
Jo sur-e shaam
Tumhari aahut ki muntazir rehti thee
Raat bhur
Apnay bikhray hoay Khwaab-on ki
Karchiyaan chunti rehti hai
*sigh