Wo lerki moti taazi se,
Din raat hi khaya kerti thi,
Kuch Gubarey ka sa paiker thi,
kuch pait bhe kharab rakhti thi,
Sharbat tyar rakha sa tha,
Roh Afza ki dewani lagti thi,
Hamsa na tha us ka koi,
bas khud se muqabla kerti thi,
sham ke daster khuwan pe akser,
Bas beth he jaya kerti thi,
kia hosla tha us gulaab jamun ka,
kia maide main lachak rakhti thi,
Hai Fikar mujhey dosre logon ki,
Jin ka bhe wo kha jaya kerti thi,
wo larki shayad koi jin he the,
kia khoob safaya kerti thi..
Re: wo LaRki
but it was the reply and totally related to the actual version... koi kaise samjhey ga ke yeh kawish kion hoi hai..
Re: wo LaRki
uss thread main aakhir aisa hai kia? 
aap un sahib ki multi to nahin 
Re: wo LaRki
:) kin sahib ke... by the way acha kia yeh baal khainchney wala emotion lagaya ... aik khaka sa ban gaya app ki shaksiat ka zahen main ;)
jab kisi ko jantey nahi, pehchantey nahi to un se baat kerney ke liye khakey hi shaksiat ke aina-daar hotey hain
Re: wo LaRki
beauty lies in eyes of beholder. main to aap se Zara Shaikh samajh kar baat kar raha hoon. wo bhi tab wali zara jab wo mobilink ke ad main aati thi 
Re: wo LaRki
heheheeh, apney apney vision ke baat hai... kahen kisi aur Ad main zahid shaikh, zakaria shaikh ya zuhaib shaikh nahi dekha app nain ..
Re: wo LaRki
ae kon hai.. saare B-rated models lagte hain. Flats ke ad main aate honge chai ka cup pakaRne ke liye 
Re: wo LaRki
hehehe....cup pakerne wali se hatain to wahan aik cup pakerne wala bhe hota hai jis ke liye he sari efforts ki jate hain...