Wo Larka...

Khayalon ki haseen wadi main ik phool tairay nam ka laga rakha hai
murja na jayay kahin khof say dil main choopa rakha hai

nazar na lag jayay mairay iss haseen phool ko
janay kaisyy issay dunya ki zalim nazron say bacha rakha hai

kabi kabi to tars jata hon iss kay haseen nazaray ko
janay kab aayay ga woh mosam jisay khuda nay choopa rakha hai .
"Tairay zulmon ki aandhi chal rahi hai
Rukay gi kaisy soch kay dunya dar rahi hai

na janay hon gay kitnay shakar iss kay
na khabar kitnon ki hamain shakar kar gayee hai

dikhti hai har taraf bas tu hi tu
lagta hai yah dunya ham sy muon phair gayee hi

na rhi khabar din ki na rat ki
ab to raton ki neend bi urr gayee hai

milta hon subah sham bas ussi say
yah dunya to ab milnay say bi gayee hai

zor hai bara tairi zulmon ki aandhi main
tha sahara ghar ki chaat ka yah bi lay urri hai

I dedicate to Mr Mazhar :slight_smile:

:k:

zor hai bara tairi zulmon ki aandhi main
tha sahara ghar ki chaat ka yah bi lay urri hai

Nice one !