wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

*

kisi ki aankh meiN khud ko talaash karna hai
phir is k baad hamain aaey’noo say darna hai

falak ki band gali ke faqeer hain ye taaray
k ghoom phir k yaheen se inhaiN guzarna hai

jo zindagi thee meri jaaN terey saath gaa’ee
bas ab tu umer k naqshay meiN waqt bharna hai

jo tum chalo tu abhi do qadam meiN kat jaayay
jo faasila mujhe saade’ooN mein paar karna hai

tu kyoN na aaj yaheeN per qayyaam ho jaayay
k shab qareeb hai aakhir kaheeN theharna hai

sehar huwi tu sitarooN ne moond lee ankhaiN
wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai*

Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

very beautiful…:flower1:

last sher is just wonderful…

ek sher …

subah ne sej se uth te hue li angrai
o saba tu bhi jo aai to akele aai

:flower1:

Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

very nice :k:

Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

[QUOTE]
Originally posted by Koyal: *

kisi ki aankh meiN khud ko talaash karna hai
phir is k baad hamain aaey'noo say darna hai

jo tum chalo tu abhi do qadam meiN kat jaayay
jo faasila mujhe saade'ooN mein paar karna hai

  • [/QUOTE]

Hum ko bohat acha laga aap ka intekhaab.
Thanks :)

Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

Beautiful :k:

Wah!

beautiful

Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

wonderfull :k:

Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

bhut khoob:k:

Re: Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

:blush:
ab saba sab ko kesay sath main utha lati ..:slight_smile:

Re: Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

:blush:

Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

Lovely stuff Koyal:k:…thanx for sharing:)

beautiful :flower1:

Re: Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

THankZ…:blush:

Re: Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

bohat thankz..:slight_smile:

Re: Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Hum ko bohat acha laga aap ka intekhaab.
Thanks :)
[/QUOTE]

hamin be bohat acha laga ap ka yahaN ana..:)

thanks phila...Hh..cutiee...:)

Re: Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

who?

koN?

Re: Re: Re: wo kya karaiN ke jinhaiN intezaar karna hai

VO poem :blush: