kis sey poochon jo khayaloon main mere rehta hai
koun hai wo jo sawaaloon main mere rehta hai
jisko dekhan na kabhi us sey wafa karta hoon
dil ke aainey main mai us sey mila karta hoon
main nahi jaanta ye kiski talab hai mujhko
kiska armaan iraadoon main mere rehta hai
khawaab hai wo mera taabeer dilaoun kesey
apni hasraat ko main takdeer banaoun kesey
mujhko milta hai sakoon uska tasswar karke
wo ishara jo isharoon main mere rehta hai
kiski tareef main likhi ye ghazal kiya janu
kisko kehta hoon mohabat ka kanwal kiya janu
main to bas aaik hi umeed main rahta hoon sada
usko dekhoon jo nazaroon main mere rehta hai