Wo koi aur na thay chand Khushk patte thay

**wo koi aur na thay chand Khushk patte thay
shajar se toot ke jo fasl-e-gul per roye thay

abhi abhi tumhein socha to kuch na yaad ayaa
abhi abhi to ham aik-doosrey sey bicharey thay

tumhary baad chaman par jab aik nazar Dali
kali kali main Khizaan ke chiraagh jalate thay

tamaam umer wafaa key gunaahgar rahey
ye aur baat key ham aadami to achchey thay

shab-e-Khamosh ko tanhai ney zaban dey di
pahar gunjtey thay dasht san sanatey thay

wo aik baar marey jin ko thaa hayaat sey piyaar
jo zindagi sey guraizaan they roz maratey thay

naye Khayaal ab aatey hain dhal ke zahan main
hamarey dil main kabhi khait lah_lahate thay

ye iratiqa kaa chalan hai ki har zamane main
puraaney log naye aadami sey daratey thay

‘Nadeem’ jo bhii mulaqat thi adhoori thi
kai aik cheharey key peecheye hazaar cheharey thay**

Re: Wo koi aur na thay chand Khushk patte thay

ye iratiqa kaa chalan hai ki har zamane main
puraaney log naye aadami sey daratey thay

nice one :k:

Aadmi se darte ho..
Aadmi to tum bhi ho
Aadmi to hum bhi hain

Re: Wo koi aur na thay chand Khushk patte thay

Nice…

Re: Wo koi aur na thay chand Khushk patte thay

:lajawab:

I like this sher :smiley: