*maiN kahti thei milay jab hum wohi qisa tu duhraa'oo*
*wo aa'nakhiN moond k bola bari lambi kahaa'ni hai*
maiN kahti thei kahaa’ni ko bhalaa kis more pe choraiN
*wo bola jab ye do kir’daar rishta saans ka r tuu’raiN *
maiN kahti thei k har lamha ye dil maiN waswasa keoN hai
*wo bola tha prindooN se b naa’zuk dil tumhara hai *
(koyal ko samja nahi)
maiN kahti thei k apnay ap udaasi ka maiN ghoo’sha hooN wo bola ghum zada hooN maiN mujay gho’sha nashe’N kar do
** maiN kahti thei teray lahjay ki rim-jim ka sabab kia hia wo bola is lee’ay k jal-tarang dil jheel maiN bikhray
maiN kahti thei aqeedat kai ibaadat kis ko kahtey haiN kaha jhuk’ti jabeenoo ko uthay haa’tooN ko kahtey haiN
maiN kahti thei jabeen-o-hath ka ta’luq bhla kia hai ibadat maiN wo kahta tha likhi jaa chuki donoo pe taqdee’raiN
maiN kahti thei do apna haath jabee’N rakh dooN hatheli pe wo kahta tha aqee’dat ye ibaa’dat he na bun jaa’ey
Re: wo kahta tha aqeedat ye ibaadat he na bun jaa’ey
haan bilkul khtm ho chuka hai… kuen k main nay isay bohot search kia hai lakin mil nahi rahi. ager main pak main hoti to koi problem nahi tha lakin yahan to kaheen bhi available nahi hai.
Re: wo kahta tha aqeedat ye ibaadat he na bun jaa’ey
**kuch kehna chah rahi thi magar aap ki in baaton ne mujhe khud mei kahin gumm kar diya.
itna dard kahan se laati hein aap? Its very simple but very powerful- wow!
:hinna:
Re: wo kahta tha aqeedat ye ibaadat he na bun jaa'ey
ap nay kaha 3 parts main ho gi... yay 3rd part hai. kitnay years lain gi ap is post ko complete kernay main.....?
Sheal me zaror sari he kar daiti lakin wo itni lambi thei k ab jesay parnay ka maza a raha hai nahi ana tha ab me try karey ghi baqie ki jaldi jaldi kar day :)
ap ka sabar b dekhna hia na ;) :p