Abad ke sumandar ki ik mojj, jis par meri zindagi ka kanwal tayrata hai
Kisi an,sunni raagani ki koi taan, Aazarda, Aawara, Barbaad..
Jo dam bhar ko A kar meri ulljhi ulljhi si saanson ke sangeet main dhall gai hai
Zamanay ki phelli huwi be-karaan, wusatton main yea do, char lamhon ki me-yaad
Tulu-o-gharoob-e-meh-o-meher ke jawedani tasalsul ki do, char kardiyan
Yea kuch thar-tharatay ujjalon ka rooman, yea kuch san-sanatay andheron ka qissa
Yea jo kuch ke mere zamane main hai, yea jo kuch ke is ke zamane main, Main hoon
Yahi mera hissa azal se abad ke khazano se hai, bas yahi mera hissa..
Yea sahba-e-amroz, jo subha ki shahzadi ki mast ankharion se tapak kar
Bador-e-hayat A gai hai, yea nannhi si chiriyan jo chat main cheheknay lagi hai
Hawa ka yea jhonka jo mere dareechay main tullsi ki tehni ko larza gaya hai..
Parosan ke angan main, pani ke nalkay pe yea chooriyan jo thapaknay lagi hain
Yea duniya-e-amroz meri hai, mere dill-e-zar ke dharkanon ki ameen hai
Yea ashkon se shadab do, char subhain, yea Aahon se mamoor do, char shamain..
Inhi chilmanon se mujhay dekhna hai, wo jo kuch ke nazaron ki zad main nahi hai.
—