Yun bhi hum pyar ke saamaN bana lete hain
Jo ho qatil usse mehmaan bana lete hain
Kash dete wo sabq unko lubhane ka hamen
Wo jo kafir ko musalmaan bana lete hain
Jo bhi aae pasand uski riaya bun kar
Usko ek raat ka sultan bana lete hain
![]()
Iss qadar sada dili tumne na dekhi hogi
Hum luteron ko nigahbaan bana lete hain
(dedicated to Zardari)