**wo jo aa jatay hain ankhon main sitaray le kar
janay kis des gaye khawab humary le kar
chaa’on main baithny walay hi to sab se pehlay
peR girta hai to aa jatay hain aaray le kar
wo jo aasoda sahil hain unhay kia maloom
ab ke moj aai to paltay gi kinary le kar
aisa lagta hai ye har mosam hijran main bahar
hont rakh daiti hai shaKhon pe tumhary le kar
shehr walon ko kahan yaad hai wo khawab faroosh
phirta rehta tha jo galiyon main gubary le kar
jis jagah jain bana laity hain hum apni jagah
ab jo zinda hain to kuch sans udhary le kar**