Wo Jis Ki Aah Ne Sadyaa'n Udaas Ker Daleen..

Aik Ghazal,

Wo Meri Rooh Main Kuch Iss Tarah Samaya Hai
Mera Wujuud Bhi Lagta Hai Uss Ka Saaya Hai

Ye Neend Ai Hai, Yaadain Hain Ya Hai Tanhai
Suno Ye Aakhir-e-Shab Kaun Dar Pe Aaya Hai

Hai Uss Ke Pa’on Main Zanjeer, Meri Aankh Main Ashk
Ye Waqt Ne Humain Kis Mo’rr Per Milaya Hai

Wo Jis Ki Aah Ne Sadyaa’n Udaas Ker Daleen
Ye Kis Dua Ka Asar Hai Woh Muskuraya Hai

(Amir Bin Ali - Chalo Iqraar Kertay Hain)

Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..

Regards,

Beautiful Choice Ahmer:)

wonderful :)

beautifullllllllllllllll :k:

Re: Wo Jis Ki Aah Ne Sadyaa'n Udaas Ker Daleen..

very nice...red

Re: Wo Jis Ki Aah Ne Sadyaa'n Udaas Ker Daleen..

aap sab ka buhat shukria :)

**ek ek sher lajawab Red **:lajawab:

Re: Wo Jis Ki Aah Ne Sadyaa'n Udaas Ker Daleen..

(Amir Bin Ali - Chalo Iqraar Kertay Hain)
is ka dosra misra rah gaya likhnay se !!!!!!

Re: Wo Jis Ki Aah Ne Sadyaa’n Udaas Ker Daleen..

nice :k:

Re: Wo Jis Ki Aah Ne Sadyaa'n Udaas Ker Daleen..

thanks to all of U.. :)