Wo hans k bola k 'Chup raho na, koi sunega to kya kahay ga.

Ye shab ko jagna, ye din ko sona, koi sunega to kya kahega!
Jo dil mein aaya to khoob khela, nazar se utra to torr dala
Hamara dil b hai ek khilona, koi sunega to kya kahega!
Mujhe bhanwar mein he
chhor aatay to baat tum per kabhi na aati
Ye tera sahil pe laa dabona, koi sunega to kya kahega!
Kaha jo meinay ‘daro Khuda se, tumhein Khuda ka b dar nahi hai?’
Wo hans k bola k 'Chup raho na, koi sunega to kya kahay ga.