Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

**Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha
Wo shakhs lehja barha ba kamal rakhta tha

Hansi labon pe dil mein malaal rakhta tha
Ajeeb shakhs tha sheeshey mein baal rakhta tha

Tera firaaq hamesha azaab e jaan tha magar
Tera wisaal bhi mujh ko nidhaal rakhta tha

Kissi ke chehra e pur noor ka jawab nahin
Andheri raat mein sooraj nikaal rakhta tha

Wo barson baad milla bhi to es tarah se milla
Labon pe chup thi nazar mein sawaal rakhta tha

Bulandion se gira hoon to ye maloom hooa
Urooj apney hi ander zawaal rakhta tha

Chamakney waali har ek cheez ko sona samjha
Kuch es tarah ka wo zoq e jamaal rakhta tha

Tera sunehri tassawur, tera sunehri khyaal
Na janey kyoon meri aankhon ko laal rakhta tha

Mera wehem dabota raha har baar mujhey
Mera yaqeen hamesha uchaal rakhta tha…!!!**

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

nice poem :k:

:frowning:

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha


waah, bahot Haseen she'r hai...mujhe apnaa ek she'r yaad aa gayaa:
**
dekhaa jo bulandii se to manzar kaa dhuaaN thaa
chaTTaan se utraa huN to deevaar khaRii hai**

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

Maine to suna tha sirf sehraon main sarab hota hain aur aap ko pahadon main bhi saraab nazar aane lage.

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

**Chamakney waali har ek cheez ko sona samjha
Kuch es tarah ka wo zoq e jamaal rakhta tha

Wo bachpan main Urdu ki class se bhag jata tha ke usse itna bhi pata na chala ke 'her chamakti cheez sona nahin hoti :hmmm:
**

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

Sheeshay mei Baal :hmmm:

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

Iss main hairat ki kia baat hai… Purane zamane main to baal dhoop main rakhne se Jinn hazir hojaya karte the

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

Matlab samjh Nhi aya

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

Purane zamane main low quality sheesha bunta tha... uss main baal ajane per sheesha toot jata tha.. iss liye jo taluq toot jae us ke liye sheeshe main baal kehte hain. (Ab KKF aap ko history bataen ge ke aisa kiyun?) :D

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

“baal jaanaa/paR jaanaa” moHaavarah hai jiskaa matlab hotaa hai ‘kisii cheez meN farq aa jaanaa’…jaise rishtoN meN baal aa jaanaa, sheeshe meN baal aa jaanaa.

“sheeshe men baal” ke luGHvii ma’na yeh bhii haN k sheeshe meN shigaaf [crack] paR jaanaa…jo sheeshe ke TooT jaane kii peshgii 'alaamat hai.

Iqbal ne kahaa thaa k:
**
tu bachaa bachaa ke na rakh use, tiraa aiina hai vo aaiina
k shikasta ho to azeez-tar hai nigaah-e-aaiina saaz meN**

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha


lol...yeh hai 'Husn-e-ittefaaq'...aap idhar yeh satar likhe rahe the aur udhar maiN mundarja baalaa sutoor raqam kar rahaa thaa...lol :D

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

Na wo Ghaznavi main TaRap rahi, na wo kham hai zulf e Ayaz main :D

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha


Bhai Ayaz kii zulf meN Kham? Kham yaa kam...lol :D

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

Ussi ghazal ka to sher (misra) hai ye, jis ki taraf aap ne nazar e karam farmai.

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha


haN pataa hai...magar aisaa 'allaamah ne kiuN farmaayaa? :D

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

Allama Iqbal Muslim Ummah ke Nishat e saniya ke liye unhe apne aslaaf ke karnamon se ba khabar karna chah rahe the

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

KFF thnkx for explanation :salute:

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

yeah…maiN ne is liye poochhaa k kuchh Ghair muslim Urdaa_daaN/naqqaad [jaise Gopi Chand ‘Narang’] jab is she’r per tabsirah karte haiN to inhiiN umoor kii taraf ishaarah karte huye paaye jaate haiN jinkii nishaan-dehii aap ne farmaayii hai…yeh saraasar bohtaan hai, iftraa hai aur fitna saazii hai.

mere vaalid kaa ek she’r hai:
**
yehii suboot hai dunyaa ke shoGhl-e-be_jaa kaa
k muzmaHil hai tabii’at nashaat-e-kaar ke ba’d!**

you are most welcome :slight_smile:

Re: Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha

I thought purane zamane mai dhoop mai baal safaid kerte thay :hmmm: