**Aaj Rootha huwa ik dost bohat yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohat yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohat yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohat yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohat yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohat yaad aaya.**