**wo dil hi kaya teray milnay ki jo dua na karay **
**main tujh ko bhool zinda rahoon khuda na karay **
pukara tu ne jo halaat ke andheron se
**milay gi meri wafa tujh ko roshni ban kar **
main jis maqam se guzron gi le ke naam tera
**rahe ga saath tera payar zindagi ban kar **
**ye aur baat meri zindagi wafa na karey **
issi tarah se he wo log bhi to zinda hain
**jinhon ne umr guzari hai bewafai main **
**taraptay hijr ki raatain guzar hi jatin hain **
**ye theek hai nahin marta koi judai main **
khuda kisi ko kisi se magar juda na karay
**wo dil hi kaya teray milnay ki jo dua na karay **
main tujh ko bhool zinda rahoon khuda na karay