Wo bi to Nakaam-e-wafa thay, jo GHALIB aur MEER banay.

**Kesi talab? aur kya andaazy? Mushkil he taqdeer banay.
Dil par jis k hath bi rakhiyo, Aakhir wo shamsheer banay.

Gham kay rishtay bi naazuk thay, tum aaye aur toot gaye.
Dil sa wheshi ab kya sanbhly, ab kya shay zanjeer banay.

Apna Lahoo, Teri Raanaai, Tareeki is dunya ki,
Main nay kya kay Rung Chunay, dekho kya tasveer banay.

Apna yeh Aalam hy, khud sy bi apny zakham chupatay hain.
Logoo ko yeh fikar kay koi Mouzu-e-Tash’heer banay.

Tum ny FARAAZ! is ishq me sub kuch kho kar bi kya paya hay.
Wo bi to Nakaam-e-wafa thay, jo GHALIB aur MEER banay.**

Re: Wo bi to Nakaam-e-wafa thay, jo GHALIB aur MEER banay.

Niceeeee:k:

Re: Wo bi to Nakaam-e-wafa thay, jo GHALIB aur MEER banay.

:lajawab:

Re: Wo bi to Nakaam-e-wafa thay, jo GHALIB aur MEER banay.

Very Nice :k: