Rahon pe nazar rakhna, hoton pe dua rakhna
Aajaye koyi shayed , darwaza khula rakna
Ehasas ke shamma ko, is tarha jalaya rakhna
Apni bhi khabar rakhna, uska bhi pata rakhna
Raaton ko vatak ne ki, deta hain saaja mujhko
Dushwar hain pahlu me dil tere bina rakhna
Logo ki nigah ko padh lene ki aadat hai.n
Halat ke tahrir-e chehere se bachaya rakhna
Bholoon main agar ae dil to yaad dila dena
tanhai ke lamhon ka her zakhm harra rakhna
Ik boond bhi ashkon ki daaman na bhigo pae
Gham uski amanat hai palkon pe saja rakhna
Iss tarah Qateel uss se bartao rahe apna
wo bhi na bura maane dil ka bhi kaha rakhna
Raahon Pe Nazar Rakhna Bhupinder & Mitalee Singh.. Audio - Merasong … audio sharing community