wo baten teri wo fasane tere
shaguftaa shaguftaa bahane tere
bas ek zaKhm nazara hisa mera
baharen teri ashiyanay tere
bas ek daaGh-e-sajdaa merii kayenat
jabeenein teri aastane tere
zameer-e-sadaf men kiran ka muqaam
anokhe anokhe Thikane tere
faqiron ka jamghaT ghaDi do ghaDi
sharabain teri baada Khane tere
bahaar o KhizaaN kam nigaahon ke vaham
bure yaa bhale sab zamaane tere
Adam bhii hai teraa hikaayat kadaah
kahaaN tak gaye hain fasaane tere