Wo anna parast sahi us ki baton mein iqrar bhi tha.
Us k chubtay hue lehjay mein chupa pyar bhi tha.
Wo mujhy likhta ha k muntazir na raho lakin.
Us ki tahreer mein sadion ka intzaar bhi tha.
Wo kehta ha mat rutho k mananaa nahi aata.
Meri narazgi pe lakin wo bekarar bhi tha.
Main shayad phir na likhta usy apni khabar.
Pyar ka bharam rakhna tha kuch dil be_ikhtiar bhi tha.
Shayad yehi us ka anadaz-e-mohabat ho.
Wo mera hum dam bhi tha sitam shuaar bhi tha
with audio… :@:
Re: Wo Anaa Parast Sahi...
boht hi khulla tazaad tha uss shakhs ki personality main
tarash
3
Re: Wo Anaa Parast Sahi…
Shayad yehi us ka anadaz-e-mohabat ho.
**Wo mera hum dam bhi tha sitam shuaar bhi tha
**
Re: Wo Anaa Parast Sahi...
Nice!
ASA
5
Re: Wo Anaa Parast Sahi...
phir youN howa k raastay yakjaa nahi howye
wo bhe ana parast tha, may bhe ana parasat
Re: Wo Anaa Parast Sahi…

bhaiya sitam shuaar means… ZALIM JISAY ZULM KERNE KI ADAT HO & also it’s a term used for ZALIM MAASHOOQ
Thank You 
Re: Wo Anaa Parast Sahi...
Nice 1
tarash
9
Re: Wo Anaa Parast Sahi…
i m
k hum dam bhi hai aur sitam shuar bhi
kya yeh khula taza’ad nahi hai
Re: Wo Anaa Parast Sahi…

bhaiya samajhne ki baat hai naa k sab raaz-o-niaz aur haqaayeq jante huye bhi zulm kerta hai 