Aik Nazm Jo Mujhe Buhat Pasand Ai,
Wo Aik Larki
Jo Mere Jaisi
Udaas Logo Ki Bustiyo’n Main
Wo Titliyo’n Ko Talash Karti
Wo Aik Larki
Wo Gol Chehra, Wo Kaali Aankhain
Jo Kerti Rehti Hazaar Baatain
Mizaaj Saada, Aur Dil Ki Achi
Wo Aik Larki
Saari Baatain Wo Dil Ki Maanay
Wohi Karay Wo, Jo Dil Main Thhaanay
Koi Na Janay, Kya Us Ki Marzi
Wo Aik Larki
Wo Chahato’n Ke Saraab Dekhay
Mohabato’n Ke Wo Khuab Dekhay
Wo Khud Samander, Magar Hai Pyasi
Wo Aik Larki
Wo Dosti Ke Nisaab Janay
Wo Jaanti Hai Ehed Nibhanay
Wo Achi Dost, Wo Achi Saathi
Wo Aik Larki
Wo Jaam Chahat Ka Peena Chahay
Wo Apni Marzi Se Jeena Chahay
Magar Hai Darti, Magar Hai Darti
Wo Aik Larki
Mohabato’n Ka Jo Falsafa Hai
Wo Janti Hai, Usay Pata Hai
Wo Phir Bhi Rehti, Dari Dari Si
Wo Aik Larki
Wo Jhootay Logo’n Ko Sacha Samjhay
Wo Sari Dunya Ko Acha Samjhay
Woh Kitni Saadi, Wo Kitni Pagli
Wo Aik Larki
(Anonymous)
Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..
Regards,
SJ
4
Re: Wo Aik Larki..
Wo Jhootay Logo’n Ko Sacha Samjhay
Wo Sari Dunya Ko Acha Samjhay
Woh Kitni Saadi, Wo Kitni Pagli
Wo Aik Larki
awesome Nazam Ahmer:k:
bohat khoob
AQ
7
Re: Wo Aik Larki..
aisee laRkiyaaN kahaaN milti haiN Ahmer?
Re: Wo Aik Larki..
aisee laRkiyaaN kahaaN milti haiN Ahmer?
zamin pe :D
muncho
9
Re: Wo Aik Larki..
aisee laRkiyaaN kahaaN milti haiN Ahmer?
baqol Iqbal '' hum dhoondnay waloan ko aisee latkiyaan kaee daitay hain''
Re: Wo Aik Larki..
asi larki to mane kahi dekhi hai … haan sheshay mai 
Re: Wo Aik Larki..
aap sab ka buhat buhat shukria.. :)
Re: Wo Aik Larki..
mukarer..resonant, redidentity.
thanks for sharing.
Re: Wo Aik Larki..
Anwaar Jee.. dhoondnay se tou khuda bhi mil jaata haina.. 
‘Meray bicchron se mujh ko mila de koi
mera bachpan kisi mol laa-day koi’

Re: Wo Aik Larki..
mukarer..resonant, redidentity.
thanks for sharing.
Thnx alot Dushwari :)]
Re: Wo Aik Larki..
Shab Jee.. aisi larkiaan itraati
nahi hain 
Re: Wo Aik Larki..
Ahmer, bazurgvar ko batana, aisee larki khood ba khood miltee nahi hein, izzet sey dhoondhni perti hey.
Re: Wo Aik Larki..
jee.. Dushwari aap ne theek farmaya :)
AQ
19
Re: Wo Aik Larki..
hmmmm
woh sheesha mujhaY daY dau Thaaaakurrr!
Re: Wo Aik Larki..
it is quite an expose' how you men speak about women.