ajazali
1
apnay sab yaar kaam kar rahay hain
aur hum hain ke naam kar rahay hain
hum hain masroof-e-intizaam magar
jaane kia intizaam kar rahay hain
hum to aaye thay arz-e-matlab ko
aur wo aihtram kar rahy hain
taig baazi ka shauq apni jaga
aap to qatl-e-aam kar rahay hain !!!
Re: wo aihtram kar rahy hain
teig bazi ki jaga ab target killing ne le li hai 
ajazali
3
Re: wo aihtram kar rahy hain
kuch aisa e hai :(
tarash
4
Re: wo aihtram kar rahy hain
target killing ka shauq apni jaga
aap to qatl-e-aam kar rahay hain !!!