qadam insa’N ka raah-e-dehr mein tharra hi jata hai
chalay kitna hi koi bach k Thokar kha hi jata hai
nazar ho Khvaah kitni hi haqaaiq-aashna phir bhi
hajoom-e-kash’makash mein aadmi ghabra hi jata hai
Khilaaf-e-maslehat mein bhi samajhta hoN magar naaseh
“wo” aatay hein to chehray par tahayyur aa hi jata hai
havaaye.N zor kitna hi lagaaye.N aa.Ndhiyaa.N ban kar
magar jo ghir k aata hai vo baadal chhaa hi jata hai
shikayat kyon isay kehtay ho ye fitrat hai insaN ki
museebat mein Khayaal-e-aish-e-rafta aa hi jata hai
samajhti hein ma’al-e-gul magar kya zor-e-fitrat hai
sahar hotay hi kaliyo.n ko tabassum aa hi jata hai
Josh