**wo pyaar youn karta hai, sanbhalny nai daita,
phir dukh ke samundar mai,ubharny nai daita.
uss ki jafa bi mashroot hai wafa ke saath,
wo dard to daita hai, par ronay nai daita.
krta hai waar marham ko khanjar py laga ke,
wo zakhm to daita hai, par marnay nai daita.
jo torta hai dil ko to ansoo bi bahata hai,
barbad to karta hai, par ujarnay nai daita.
mehbob mila hai hmko ajeeb sa “MOHSIN”
wo aag to lagata hai, par jalnay nai daita**